Tum de jaate ho priye yadon ka saagar
Tum de jaate ho priye yadon ka saagar,
khusiyon ke do pal,
neerav ,neerjeev ,swanso ko
jeene ka eek swaroop , eek saadhan
bhar jaate ho , aangan mere abhilasha ki,
rakh dete ho ahsas chuaan ki ,
madhiim roshni ke saaye main
mill jaata eek kalpana , eek kautuhal
wallariyon ki si premil liptan,
seetalta har gaat ki ,
chann bhar ki ees bhangima se,
jeevan bhar eek bahav, eek thahran.
tum de jaate ho priya apne wachno ki madhu- haala,
muskaano ki maala,
sune pan mai rah jaata ye sab,
ho ke eek chitra , eek saaya.
tere nayano ke unmillan se ,
rang rang aati meri har dharkan
uske aage jitna bhee kosis kar lunn,
rah jaata main eek mastt, eek kaayal
kamlon ki komalta mai kahee kami hai,
kah jaate teri har balkhan ,
anayaas huee ees darshan se
mujhe ho aata , eek swapna , eek sanslesan
tum de jaate ho priya apne roop ka aagosh,
juhi ke puspo ka archan
aur khuli aankho per rah chalta,
har pal eek prabhav , eek parivartan
maanus ki maulikta par
prasna utha kar jaati hai,
aise kitne aarmaan bunn aati hai,
aur rah jaata eek baadha , eek bandhan
1 Comments:
Thoughts written down precisely, ! ... very well crafted ! effect & side-effect :)keep going ! cheers !
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home