priya milan ko tarasti hai
ye swase rook rook chalti hai,
lamho ko bojhil karti hai.
baadha-en ..bandhan aawiral aaj pari,
feer bhi priya milan ko tarasti hai
khabon ki aasem ghata,
na jaane kaha kaha bhigoti hai,
ees tarsaaye jeevan mai, satvar
priya milan ko tarasti hai
rah rah sammer mai doobti,
khusbu priya ki khoj khoj thak jaati,
chaahat ke ees samundra mai
priya milan ko tarasti hai
ho kar stheer gagan - samya,
ho rahi hai kaalima aakanthit jeevan ,
aur ees jhulsaaye jeevan mai
priya milan ko tarasti hai
~suyash
1 Comments:
Kya Kavitha hai Sarkar ...
ye pad ke ye pathik ... path pe rukh sa gaya hai ... priya ho tho aisee !!!
Cheers !!!
Sagar.
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home